Aasmaan

sar utha kar jo dekhta hoon.. 
upar wo neela aasmaan dikhta hai.. 
muh chidhata hua wo kehta hai mujhse.. 
kaisa hai tumhara jahan jahan har kuch bikta hai.. 
har koi jahan ek doosre se jalta hai.. 
har kisi k andar bas swarth palta hai.. 

maine bhi diya us aasmaan ko taka sa jawab.. 
maine kya kaha zara gaur farmaiyega janab.. 

"maana ki yahan har kuch bikta hai.. 
maana ki sbke andar swarth dikhta hai.. 
maana har koi yahan ek doosre ko dekh k jale.. 
par hota hai sab kuch isi neele aasman k tale.. 
hota hai sab kuch teri chhaon k tale.. 
raund kyun nahi deta iss jahan ko apni paon k tale.." 

wo shant khada raha,fir muskurata hua bola.. 

"raund sakoo iss duniya ko meri itni aukaat nahi.. 
jaha har taraf hai paap bhara waha meri koi bisaat nahi.. 
insaan jaha insaaniyat ka dushman ban baitha hai.. 
us duniya se paap ka ant mere bas ki baat nahi....." 

ALL RIGHTS RESERVED!
nadaan

Comments

Popular Posts